Missing someone is a feeling we all go through at some point in life. It could be a friend, a lover, or someone special who is far away but close to the heart. Miss you Shayari in English brings sweet memories and silent pain. Many people search for miss you jaan messages to express these emotions deeply.
Shayari is a beautiful way to express these deep emotions. Through these touching words, we can show how much someone means to us, even when they are not around. It gives us comfort and helps us stay connected to them. When we say love you through shayari, it feels heartfelt.
In this post, you will find heart-touching miss you shayari in English that speaks from the soul. Each line is written to express love, pain, and the longing for someone who is really missed. If you want to share a miss you shayari, these lines will perfectly convey your feelings.
Heartfelt Miss You Shayari for Girlfriend

Tum sirf meri khushiyan hi nahi ho,
Mera naseeb bhi ho
Main jitna tumse door hoon
Tum utna hi mere kareeb bhi ho
Yaadon ka silsila guzar kyu nahi jaata
Tera zikr dil se utar kyu nahi jaata
Yeh mohabbat mein hum kis kadar paagal ho gaye
Tere siwa koi aur nazar kyu nahi aata
Main bahut khush tha kadi dhoop ke sannate mein,
Kyu teri yaad ka baadal mere sir par aaya.
Na tadapta dil na roti aankhen
Na labon par naam koi aur hota
Hum teri tamanna hi kyu karte
Agar tere jaisa koi aur hota
Aakhir thak haar ke laut aaya main bazaar se,
Yaadon ko band karne ke taale kahi mile nahi
Tumhari ek jhalak paane ko hum beqaraar baithe hain
Falak ka chaand dekhne aaj, tere dwaar baithe hain
Mohabbat hai humein tumse, nahi darr ab zamaane se
Khawabon mein tumhe rakh kar, dilo-jaa haar baithe hain
Samajhta to hai, par
Maanne ko tayyar nahi hai…
Dil hai janaab,
Dimaag jaisa samajhdaar nahi hai
Duniya bhar ki yaadein hum se milne aati hain,
Shaam dhalte hi mere ghar mein mela lagta hai
Apne gham mein bhi naayaab khazana dhoond lete hain,
Hum tumhe yaad karne ka bahaana dhoond lete hain
Meri har saans mein tum ho meri har khushi mein tum ho
Tere bin zindagi kuch nahi,
Kyunki meri poori zindagi hi tum ho
Samjha do apni yaadon ko,
Wo been bulaaye paas aaya karti hai,
Aap to door reh kar sataate ho
Magar wo paas aakar sataaya karti hai
Sab ka pyaar sabke paas hai.
Aur ek mera pyaar hai jo
Mujhse bahut door hai
Khwahish bas itni si hai
Jab bhi main yaad karoon tumhe
Tum mehsoos karna mujhe
Beautiful Miss You Love Shayari in English

Tum kehte ho na hamesha khush
Raha karo.
Toh phir sun lo tum bhi
Hamesha mere paas raha karo.
Aapse door rehkar yeh mohabbat aur badh rahi hai,
Yeh meelon ki doori mujhe aapke aur kareeb la rahi hai.
Bahut yaad aata hai mere dil ko tadpaata hai,
Woh tera paas na hona mujhko bahut rulaata hai.
Kabhi unki yaad aati hai kabhi unke khwab aate hain,
Mujhe sataane ke saleeke to unhe behisaab aate hain.
Kabhi kabhi kisi insaan se
Itna lagaav ho jaata hai.
Jab usse baat nahi hoti to din kya
Zindagi bhi achhi nahi lagti.
Itna pyaar ho chuka hai tumse ke
Jahan par bhi pyaar ki baat
Hoti hai mujhe sirf teri yaad aati hai
Fikar mein bhi tum ho aur
Jigar mein bhi tum ho.
Bas ek hi kami hai jo
Mere paas nahi.
Tere deedaar ka nasha bhi ajeeb hai
Tum na dikhe to dil tadapta hai.
Aur tu dikhe, to nasha aur chadh jaata hai.
Guzri thi jo kal shaam saamne se mere,
Ussi ki yaad mein maine saari raat guzaar di.
Maana ki tujhse dooriyan kuch zyada hi badh gayi hain.
Par tere hisse ka waqt
Aaj bhi tanha guzarta hai
Ek umeed ka diya jal raha tha,
Jise ashkon ki baarish ne bujha diya.
Tanha akele khushi se jee raha tha,
Aaj phir aapki yaad ne rula diya.
Agar yaadein bika karti
Toh mujhse ameer hasti
Duniya mein koi na hota.
Chhod diya saath to koi gham nahi,
Bhool jaayenge aap humein bhulaane waale hum nahi.
Aapse mulaqat na hue to koi baat nahi,
Aapki yaad mulaqat se kam nahi.
Miss You Shayari in English Text

Uske bin ab to jeena muhaal ho raha hai
Uski yaad mein mera bura haal ho raha hai.
Ab to uske khwabon ka hi sahaara hai
Uski din-raaton par bas haq hamaara hai.
Kaash tu bhi ban jaaye teri yaadon ki tarah,
Na waqt dekhe na bahaana bas chali aaye.
Jab wo gaye hain humse mulaqat karke
Dil ki sooni dhadkano mein jazbaat bhar ke.
Gumsum ho gaya hoon kuch hosh nahi hai
Din raat kat rahe hain bas tujhe yaad karke.
Kabhi tumhari yaad aati hai
Kabhi tumhare khwab aate hain.
Mujhe sataane ke tareeke to
Tumhe behisaab aate hain.
Kaash meri aah mein kuch to asar ho jaata
Meri tadap ka usko bhi khabar ho jaata.
Uske khwab mujhko raato bhar jagaate
Taare gin-gin kar shaam se sahar ho jaata.
Khuda kare ki is dil ki aawaaz mein
Itna asar ho jaaye, jiski yaad mein.
Tadap rahe hain hum, use khabar ho jaaye.
Tanha hi tha par teri yaad saath thi
Un ghadi lamhon ki baraat saath thi.
Bas kami thi to tere haseen baahon ki
Ek khwaab tha aur sooni si raat thi.
Ek tum ho sanam ki kuch kehti nahi,
Ek tumhari yaadein hain jo chup rehti nahi.
Is zameen se falak tak tera saath chahta hoon
Zindagi ke safar mein haathon mein haath chahta hoon.
Tum muskura ke mere dil ke mahal mein aa jaao
Jo tere sang guzre bas wahi raat chahta hoon.
Hum tumhe yaad karenge tum humein yaad karna,
Dekhte hain hichkiyaan kisse aati hain.
Uske yaadon ke sitaare mein chamak aa gayi
Phir mohabbat ke bahaaron mein chamak aa gayi.
Mere dil ke aangan mein koi to gul khila hai
Uske aane se gulon mein phir mehak aa gayi.
I Miss You Jaan Shayari

Jab bhi aaine ko nihaar ke dekhta hoon
Khud ke saath tujhko har baar dekhta hoon.
Ye ishq nahi to phir aur kya hai
Mere khwaabon mein bas tera hi chehra hai.
Socha to yahi tha ki yaad nahi karenge
Par ye dil kahaan kisi ki sunta hai.
Khyaal tera dil se mitaaya nahi jaata
Bhoole se kabhi tujhko bhulaaya nahi jaata.
Ye ishq hai ya koi khumaar hai chha gaya hai
Ik teri yaad aayi koi dard aa gaya hai.
Hansna aur hansaana ye koshish hai meri,
Sabko khush rakhna chahat hai meri.
Koi yaad kare ya na kare,
Har kisi ko yaad karna aadat hai meri.
Us raat ki kahani adhoori reh gayi hai
Sunaana hai tumko phir haale-e-dil hamaara.
Ek tum nahi aaye the teri yaad aayi thi
Hum kaise bhula dein us shaam ka nazaara.
Zameen ka tukda falak ko pyaara
Mar raha ek jhalak ko pyaara.
Saansen lena yaad nahi par
Humko uspe marna pyaara.
Shaam teri yaad ki khwabon ki raat hai
Kehna tumse phir jo dil ki baat hai.
Aana kabhi jo tum thahro ek do din
Puri nahi hoti hai, jo hai mulaqat hai.
Is dil ka haal tumko sunna chahta hoon
Tumhare saath phir shaam koi bitaana chahta hoon.
Aaj apne khwabon mein mujhko yaad karlo
Dil ki chahat hai tumko yaad aana chahta hoon.
Zinda sabhi puraani yaadein
Band hai dil mein tumhari yaadein.
Aasaan to hai banaani magar
Bahut hai mushkil mitaani yaadein.
Mujhe ishq ki zanjeer se kab aazaad karoge
Meri chahat apne dil mein kab aabaad karoge.
Tere hi charche har dam meri mehfil mein hain
Ae jaane dil tum mujhe kab yaad karoge.
Miss Karne Wali Shayari in English
Silsila chahat ka aaj bhi jaari hai,
Teri yaadon se aaj bhi yaari hai.
Khwabon mein tum aate rehna kyunki
Tumhari muskaan bahut pyaari hai.
Ek dard sa utha dil mein
Palkon mein aansu aa gaye hain.
Guzre hue lamhon ki kasam
Uski yaad baadal phir chh gaye.
Jahan bhooli hui yaadein daaman thaam lein dil ka,
Wahaan se ajnabi ban kar guzar jaana hi achha hai.
Jiske aane ki khushi har pal rahe
Is dil mein uski yaadon ka mahal rahe.
Khuli aankhon se deedaar ho jaaye unka
Chahat ki mehfil saje koi ghazal kahe.
Shamma jal-jal ke bujh rahi parwaane ke liye
Wo khud ko mita rahi hai deewaane ke liye.
Chahat mein uske doob kar yaad kar rahi hai
Haseen lamhon ko wo aabaad kar rahi hai.
Itna na yaad aao ki khud ko tum samajh baithoon
Mujhe ehsaas rehne do ki meri apni bhi hasti hai.
Chha rahi hai khumaari tere pyaar ki
Ghadi kat’ti nahi hai intezaar ki.
Kab se bhawre talaashte gulon mein khushboo
Masti bhar gayi gayi phir bahaar ki.
Teri yaadein bhi kisi qahar se kam nahi,
Roz aati hain ik nayi tabaahi lekar.
Tumse door rehkar dil ko aaraam nahi hai
Ek chahat ke siwa koi kaam nahi hai.
Har ghadi mujhko teri yaad sataati hai
Tere sang jo guzre wo subah shaam nahi hai.
Kahin ye apni mohabbat ki inteha to nahi,
Bahut dino se teri yaad bhi nahi aayi.
Na jaane dil aaj kyun bharne laga hai
Kisi ki chahat mein phir utarne laga hai.
Doob jaane ka darr phir sata raha hai
Dil kisi ko phir yaad karne laga hai.
I really Miss You Shayari Heart Touching Lines
Door hai tumse koi gham nahi,
Door rehkar bhula dein waise hum nahi,
Mulaqat nahi hua to kya hua tumse,
Teri yaad koi mulaqat se kam nahi
Is dil ki haalat tujhko sunaunga
Tere aaine mein bas main hi nazar aunga
Yaadon ki baraat phir sajne lagi hai
Dil mein shehnaaiyaan si bajne lagi hain
Din mein bichhad gaye ab raat aayegi
Mere baad unhein meri yaad aayegi
Kisi bahaane se dil mein aate to sahi
In dhadkano ko phir suljhaate to sahi
Tumhare yaad ki mehfil phir se sजी है
Phir se rang jamta tum aate to sahi
Bahut mushkil se karte hain teri yaadon,
Ka kaarobaar munafa kam hi sahi,
Magar guzaara ho hi jaata hai
Dil na jaane kyun tumko yaad kar raha hai
Phir se chahat ki fariyaad kar raha hai
Zakhm abtak nahi bhare hain kisi bahaane se
Haalat to poonchho aakar apne deewaane se
Zara bhi nahi aati yaad unhein
Wo jo kehte the tumhaare bina mar jaayenge
Meri mohabbat ko thukraane waale,
Bhool jaao bhale hi tum humein,
Toot kar bhi hum tumhaari naam ko,
Apni zindagi mein yaadgaar bana denge
Wo phir mujhe yaad aane lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaane lage hain
Tum jinhe patthar samajhte the,
Aaj yaadon mein tumhaare,
Wo chashme dariya ban gayi hai
Kahin ye apni mohabbat ki inteha to nahi,
Bahut dino se teri yaad bhi nahi aayi
Maana ke dhoond loge tum koi humdam
Chahat mein tere phir bhi rahenge hum
Kuch pal jiyoge kuch pal maroge
Jab hum na honge humein yaad karoge
Subah shaam tujhe yaad karte hain
Hum aur kya bataayein ki tumse
Kitna pyaar karte hain.
Miss You Yaad Shayari Shayari for Lovers
Tere bagair kisi aur ko dekha nahi maine
Sukh gaya wo gulaab magar phenka nahi maine
Saal nahi janm lagega
Tumhari yaadon ko apne khayalon se nikaalne mein
Yaad to humein bahut logon ki aati hai
Par sach batayein to tumhari sabse zyada aati hai
Yaad to humein bahut logon ki aati hai
Par sach bataye to tumhari sabse zyada aati hai
Thokar khaake laut aati hai ye shaam rozana
Ek subah hai jo isko kabhi jeetne nahi deti
Main naa sahi mere badan ki khushboo se mehkogi tum
Main jab bhi yaad aaunga bekhudi mein behkogi tum
Samjha do tum apni yaadon ko zara
Din raat tang karti hai mujhe karzdaar ki tarah
Woh phir mujhe yaad aane lage hain
Jinhe bhoolne mein zamaane lage hain
Bahut udaas hai koi shakhs tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahaane se
Tu laakh khafa sahi magar ik baar to dekh
Koi toot gaya hai tere door jaane se
Kaash tumhe khwaab hi aa jaaye
Ki hum tumhe kitna yaad karte hain.
Har doori mitaani padti hai har baat bataani padti hai
Lagta hai doston ke paas waqt hi nahi hai
Aaj kal khud apni yaad dilaani padti hai
Har subah behtareen aur shaam khoobsurat thi
Meri zindagi ke falsafe mein ek aisa bhi mod aaya tha
Kabhi gulaab si mehakti hai, kabhi kaanton si chubhti hai
Zindagi aur teri yaadon ki, ek jaisi aadat rehti ha.
Guzri thi jo kal shaam saamne se mere
Ussi ki yaad mein maine saari raat guzaar di
Manzar bhi benoor the aur fizayein bhi berang thi
Tumhari yaad aayi aur mausam suhaana ho gaya
Baitha hai kyun udaas woh dilbar ki yaad mein
Mujhse to keh raha tha mohabbat fizool hai.
Touching I love Shayari
Haath pakad lo mera
Poora saath nibhaana hai,
I love you bola hai to
Meri baahon mein zindagi bitaana hai.
Tera muskurana mujhe bhaaya hai
Tu mere aur kareeb aaya hai,
Meri parwaah karke hai
Mujhe pyaar karna sikhaya hai.
I love you ❤️
Tere hoth choom loon
Tujhe baahon mein sama loon,
Kisi ki na lage nazar
Aa tujhe khud mein sama loon.
I love you meri raani. 👑
Tune bahut saath diya hai
Mujhe bina maange pyaar diya hai,
Ab tere saath hi muskurana hai
I love you bol ke apna banana hai.
Teri baaton mein jo mithaas hai
Har lafz mein ek ehsaas hai,
Har subah tujhse shuru ho
Tere bina adhoora har jazbaat hai.
Teri hansi mein jo baat hai
Woh mere dil ko bhaati hai,
Har pal judta hai tu mujhse
Tu roz mere aur kareeb aati hai.
Tujhe main khud mein sama loon
Tu kahe to apna bana loon,
Rakh loon sambhal ke tujhe main
Tujh pe aanch na aane doon.
I love you shona.
Ye baat kaise tujhse keh doon
Yoon to mera sab kuch hai tu,
Door na hona jaan tu mujhse
Meri jaan I love you.
Tu roothe to mana loonga
Teri kasam har baar kha loonga,
Tu chhod ke jaayegi jaan agar
I love you kehkar mana loonga.
Mujhe teri kasam hai
Tu meri jaan hai,
Tujhe manaayenge marte dum tak
Mana na le I love you bolna mera kaam hai.
Teri aankhon mein noor hai
Mujhe tere pyaar pe gurur hai,
Door na hona kabhi mujhse
Pyaar mein har shart manzoor hai.
Apne pyaar ko kaise jataaoon
Kaise tujh se dil ka haal bataaoon,
Kaise karun tujh se dil ki baat
Kaise I love you bol ke tujhe manaaoon.
Janu I Love You Shayari Romantic Lines
Tere khayalon se din sajta hai
Teri yaadon se dil bahlta hai,
Tu jab kareeb hota hai
Har lamha achha lagta hai.
I love you Gudda
Tere saath chalna sukoon lagta hai
Tera saath mera har lamha sajta hai,
Teri baaton mein lagta hai dil
Tere saath mera har lamha basta hai.
Tune chhua to dil dhadakne laga
Main tere saath saath chalne laga,
Tune aisa lagaya dil
Mere dil mein tera pyaar theherne laga.
I love you shona.
Tujhse main hoon
Tere bina kaise jiyoon,
Tujhe maana hai apna
Paas karke I love you bol doon.
Mere jism ka hissa hai tu
Tera saath bhala kaise na doon,
Paas aa, tujhe baahon mein bhar kar
I love you keh doon.
Keh doon to saara zamaana mera hai
Par mujhe tu bhaata hai,
Kya lena zamaane se mujhko
Mujhe bas tujhpe pyaar aata hai
I love you cutiepie.
Teri awaaz mein raahat hai
Tu meri aakhri chahat hai,
Tujhse dil lagaana mujhe bhaaya hai
Maine tere dil ko apne dil ke kareeb paaya hai.
I love you 💕 meri babu.
Jab do anjaane
Ek doosre ko samajh jaate hai,
Phir woh paraaye nahi hote
Aapas mein dil mil jaate hai.
I love y 💓 u.
Humne kiya tha jo pyaar dil se,
Mumkin hai paao badi mushkil se,
Phir bhi is jahaan mein pyaase rahoge.
Jab hum na honge aahein bharoge
Teri yaadon ne kab, rulaaya nahi,
Umr guzri tujhe bhulaaya nahi
Tujh se bichhad ke nazrana rab hai gawaah,
Humne khud ko kabhi hansaaya nahi
Yaadon ki keemat wo kya jaane
Jo khud yaadon ko mita diye karte hain,
Yaadon ka matlab to unse poochho jo
Yaadon ke sahaare jeeya karte hain
Miss you Quotes in English
Agar yaadein bika karti
To mujhse ameer hasti
Duniya mein koi na hota!
I Really Miss You!
Kaash tu bhi ban jaaye yaadon ki tarah!
Na waqt dekhna ho na bahaana ho, bas chali aaye!
I Miss You!
Maana ki tujhse dooriyan
Kuch zyada hi badh gayi hain
Par tere hisse ka waqt
Aaj bhi tanha guzarta hai
Miss you Dear!
Tere deedaar ka nasha bhi ajeeb hai
Tum na dikhe to dil tadapta hai
Aur tu dikhe, to nasha aur chadh jaata hai!
Miss you Dear!
Fikr mein bhi tum ho aur
Jigar mein bhi tum ho
Bas ek hi kami hai jo
Mere paas nahi
Woh tum ho!
I Really Miss You!
Kabhi kabhi kisi insaan se
Itna lagaav ho jaata hai
Jab usse baat nahi hoti to din kya
Zindagi bhi acchi nahi lagti!
Miss you Dear!
Tere khwaab main nahi dekhti kabhi
Kyunki,
Teri yaadein mujhe sone hi nahi deti kabhi!
I Really Miss You!
Aapse door rehkar yeh mohabbat aur badh rahi hai
Yeh meelon ki doori mujhe aapke aur kareeb la rahi hai!
Miss you Dear!
Tum kehte ho na hamesha khush raha karo
To fir sun lo tum bhi
Hamesha mere paas raha karo!
Miss you Dear!
Sab ka pyaar sabke paas hai
Aur ek mera pyaar hai jo
Mujhse bahut door hai!
Miss You!
Meri har saans mein tum ho meri har khushi mein tum ho
Tere bin zindagi kuch nahi,
Kyunki meri poori zindagi hi tum ho!
Miss you Dear!
Jab bhi koi had se zyada yaad aata hai
Tab bachhe ki tarah rone ka mann karta hai!
Miss you Dear!
Yadi wafayi bika karti
To mujhse zyada khushkismat
Duniya mein koi nahi hoti!
Miss You Status sad Love
Har pal tujhe yaad karna ab meri aadat ban gayi hai.
Door hokar bhi tu har waqt mere paas lagta hai.
Tere bina sab kuch hai, bas zindagi nahi.
Yaad aata hai tera muskurana, har tanha shaam mein.
Dil karta hai sirf tujhe ek baar dekh loon, bus ek baar.
Tere bina dil khud se hi udaas rehta hai.
Har yaad teri, ek nayi kahani kehti hai.
Kabhi kabhi khamoshi bhi cheekh kar kehti hai – “I miss you.”
Aankhon mein aansu nahi, par dil roz rota hai.
Tu nahi hai yahan, par har jagah tu hi dikhta hai.
Teri yaadon se bhaag ke bhi kahaan jaaun main?
Tumhe bhool jaana chaha, par yaadon ne nahi chhoda.
Tumhara hona, na hone se behtar tha.
Jab bhi tujhe yaad karta hoon, khud ko aur tanha paata hoon.
Tere jaane ke baad har cheez adhuri lagti hai.
Waqt guzarta jaa raha hai, par yaadein wahi ki wahi hain.
Tumse door jaake bhi, tumhare kareeb rehna chahta hoon.
Khush toh hoon, par tu hota toh baat kuch aur hoti.
Tere bina zindagi, ek adhoora safar lagti hai.
Kabhi laut aao kehna hai – “bahut yaad aate ho.”
Conclusion
Expressing emotions can be challenging, but miss you shayari in English makes it easier to share your feelings of love and longing. We hope this collection of miss you shayari in English helps you connect with your loved ones and lets them know how much you miss them deeply.