The people we trust the most are often the ones who leave us broken. In those moments, bewafa Shayari in English speaks the heartbreak we hide inside. It speaks of betrayal and the emptiness that lingers when love fades.
Reading broken heart Shayari in English is like opening a diary you never wrote. Every line mirrors the feelings we hide behind a smile and reminds us we’re not alone in this hurt. That simple truth makes the burden lighter.
In this post, you will find the best sad love Shayari in English, which captures the silence of lost love and distance. That’s why bewafa Shayari in English connects deeply; it tells our story in words we could never say aloud.
Sad Love Bewafai Shayari in English

Dard ban kar dil mein chhupa kaun hai,
Rah rah kar ismein chubhta kaun hai.
Ek taraf dil hai aur ek taraf aaina,
Dekhte hai is baar pehle tootta kaun hai.
Pyar mohabbat to sab karte hai,
Isko khone se bhi sab darte hai.
Hum to na pyar karte hai na mohabbat karte hai,
Humto bas aapki ek muskurahat paane ko tarsate hai.
Har pal yehi sochta raha,
Ke kaha kami reh gayi thi meri chahat mein.
Usne itni shiddat se mera dil toda,
Ke aaj tak nahi sambhal paaye.
Patte gir sakte hai par ped nahi,
Sooraj dub sakta hai par aasmaan nahi.
Dharti sukh sakti hai par saagar nahi,
Tumhe duniya bhool sakti hai par hum nahi.
Waqt noor ko benoor kar deta hai,
Chhote se zakhm ko naasoor kar deta hai.
Kaun chahta apni mohabbat se door rehna,
Lekin waqt sabko majboor kar deta hai.
Bewafa se dil laga liya naadaan the hum,
Galti humse hui kyunki insaan the hum.
Aaj jinhe nazarein milane mein takleef hoti hai,
Kuch samay pehle unki jaan the hum.
Mohabbat usse karo jo aapse pyar kare,
Apne aap se bhi zyada aap par aitbaar kare.
Aap usse ek baar do pal ke liye rukne ko to kaho,
Aur un do palo ke liye sari zindagi intezaar kare.
Woh nahi aati par apni nishani bhej deti hai,
Khwabon mein daastaan puraani bhej deti hai.
Uski yaadon ke pal kitne bhi meethe hain,
Magar kabhi kabhi aankhon mein paani bhej deti hai.
Yaadon mein kabhi aap khoye honge;
Khuli aankho se kabhi aap bhi roye honge.
Mana hume aadat hai, gham chhupane ki,
Par hanste hue kabhi aap bhi roye honge.
Broken Heart Bewafa Shayari Lines

Akela chhod kar mujhe tum tanha kar gaye,
Adhoora sa mera har lamha kar gaye.
Pyar kyun kiya mujhse agar nibhaana na tha,
Bas zinda hai ab ye shareer, mere jazbaat mar gaye.
Humne to dekha hai khud ko kai baar aazma kar,
Aksar log dhokha dete hai kareeb aakar.
Is zamane ne samjhaya tha lekin dil nahi maana,
Chhod jaoge ek din hume apna bana kar.
Mohabbat muqaddar hai koi khwaab nahi,
Ye wo ada hai jismein har koi kaamyab nahi.
Jinhe milti manzil ungliyon pe wo khush hai,
Magar jo paagal hue unka koi hisaab nahi.
Yoon saja na de mujhe bekasoor hoon main,
Apna le mujhe gamon se choor hoon main.
Tu chhod gayi ho gaya main paagal,
Aur log kehte hai bada magroor hoon main.
Kyon anjaane mein hum apna dil gawa baithe,
Kyon pyar mein hum dhokha kha baithe.
Unse hum ab kya shikva kare kyunki galti hamari hi thi,
Kyon hum bedil insaan se dil laga baithe.
Mar kar tamanna jeene ke kise nahi hoti,
Ro kar khush hone ki tamanna kise nahi hoti.
Keh to dete hain jee lenge apnon ke bina,
Lekin apnon ki tamanna kise nahi hoti.
Kabhi kisi ko itna sataya na karo,
Apne liye kabhi kisi ko tadpaya na karo.
Jinki saanse hi wo aapke lafz ho,
Un lafzon ke liye kabhi kisi ko tarsaya na karo.
Sach jaan lo alag hone se pehle,
Sun lo meri bhi apni sunne se pehle.
Soch lena mujhe bhulne se pehle,
Roi hai bahut ye aankhe muskurane se pehle.
Saans tham jaati hai par jaan nahi jaati,
Dard hota hai par awaaz nahi aati
Ajeeb log hai is zamane mein,
Hum bhool nahi paate aur kisi ko yaad nahi aati.
Heartfelt Dil Tuta Hua Shayari

Us bewafa ko apna samjha,
Jise humne itna pyar kiya,
Usne kiya humse sirf dhokha,
Humne phir bhi aitbaar kiya.
Har pal saath dene ka wada karte hain tujhse,
Kyon apnapan itna zyada hai tujhse,
Kabhi ye mat sochna bhool jaayenge tujhe hum,
Har pal saath nibhaane ka wada hai tujhse.
Udaas nazaro mein khwaab milenge,
Kabhi kaate to kabhi gulab milenge,
Mere dil ki kitaab ko meri nazaro se padh kar to dekho,
Kahi aapki yaade to kahi aap milenge.
Dil me aarzu ke diye jalte rahege,
Aankhon se moti nikalte rahege,
Tum shama ban kar dil mein roshni karo,
Hum mom ki tarah pighalte rahenge.
Maine khuda se poocha wo kyon chhod gaya mujhe,
Uski kya majboori thi,
Khuda ne kaha na kasoor tera tha na galti uski thi,
Maine ye kahani likhi hi adhoori thi.
Kahan koi mila aisa jispe dil luta dete,
Har ek ne dhokha diya kis kisko bhula dete,
Apne dard ko dil hi mein dwaya rakha,
Karte bayan to mehfilon ko rula dete.
Kahi pe kisi roz aisa bhi hota,
Ye jo hamari haalat hai wo tumhari hoti;
Is raat ko tadap kar guzara,
Kaash ye raat tumne bhi guzari hoti.
Agar koi khata ho gayi ho to saza bata do,
Kyon hai itna dard bas iski wajah bata do,
Bhale hi der ho gayi ho tumhe yaad karne mein,
Lekin tumhe bhool jaayenge ye khayal dil se mita do.
Ab to hume udaas rehna bhi achha lagta hai,
Kisi ke paas na hona bhi achha lagta hai,
Ab main door hoon to mujhe koi farq nahi padta,
Kyonki mujhe kisi ki yaadon mein aana bhi achha lagta hai.
Pyar Mein Bewafai Dard Bhari Shayari
Paane se khone ka maza kuch aur hai,
Band aankhon se sone ka maza kuch aur hai.
Aansoo bane lafz aur lafz bani zubaan,
Is ghazal mein kisi ke hone ka maza kuch aur hai.
Sapno mein aane wali tera shukriya,
Dil ko dhadkane wali tera shukriya.
Kaun karta hai aaj jahan mein kisi se itni mohabbat,
Hume apni zindagi mein shamil karne wali tera shukriya.
Hum to aapse palke bichha kar pyar karte hain,
Ye wo gunha hai jo hum baar baar karte hain.
Dil mein khwaishon ke kai chirag jalakar,
Hum subah-o-shaam tere milne ka intezaar karte hain.
Pyar mein maut se darta kaun hai,
Pyar ho jaata hai karta kaun hai.
Aap jaise yaar par hum to kya sari duniya fida hai,
Lekin hamari tarah aap par marta kaun hai.
Khuda kare koi ishq ka shikaar na ho;
Juda apne pyar se koi pyar na ho.
Main uske bina zindagi guzar doon,
Besharte usko kisi se pyar na ho.
Teri khushi ko apni palko mein sajayenge,
Mar kar bhi saari rasmayein nibhaayenge.
Dene ko to kuch nahi hai mere paas,
Lekin teri khushi ke liye khuda ke paas tak chale jaayenge.
Saamne manzil to rasta na modna,
Jo man mein ho wo khwaab na todna.
Har kadam par milegi safalta,
Bas aasmaan chhoone ke liye zameen na chhodna.
Woh dard de gaye sitam bhi de gaye,
Zakhm ke saath wo marham bhi de gaye.
O lafzon se kar gaye apna man halka,
Hume kabhi na rone ki kasam de gaye.
Mujhe jisne zindagi di, wo marta chhod gaye,
Jisse mohabbat ki wo mujhe tanha chhod gaye.
Thi hume bhi ek humsafar saath chalne ko zarurat,
Jo saath chalne wale the wahi rasta mod gaye.
Best Dosti Bewafa Shayari for betrayal
Humne chaha tha jise use dil se bhulaaya na gaya,
Zakhm apne dil ka logon se chhupaya na gaya,
Bewafai ke baad bhi pyar karta hai dil unse,
Ki bewafai ka ilzaam bhi us par lagaya na gaya.
Kabhi jo hum se pyar beshumar karte the,
Kabhi jo hum par jaan nisar karte the,
Bhari mehfil mein humko bewafa kehte hain,
Jo khud se zyada humpar aitbaar karte the.
Ye waqt badla aur badli ye kahani hai,
Ab to bas mere paas unki yaadein purani hai,
Na lagao mere zakhmo pe marham,
Kyonki mere paas bas unki yehi bachi hui nishani hai.
Aaj teri yaad ko seene se laga kar hum roye,
Hum tujhe tanhaai mein paas bulaakar roye,
Paana to bahut chaha tha har baar tujhe,
Par har baar tujhe na paakar hum roye.
Kabhi gham to kabhi bewafai maar gayi,
Kabhi unki yaad aayi to judai maar gayi,
Jisko humne beinteha mohabbat ki,
Aakhir mein hume usi ki bewafai maar gayi.
Dil ke samundar mein ek gehraai hai,
Usi gehraai se tumhari yaad aayi hai,
Jis din hum bhool jaaye aapko,
Samajh lena hamari maut aayi hai.
Kabhi sochte the ki aapke saath apni zindagi bitaayenge,
Aap ke saath reh kar hum bhi muskurayenge,
Kabhi sochte the mohabbat apni chaand ke paar le jaayenge,
Lekin kabhi ye nahi socha tha ki aap hume is tarah rulayenge.
Tere ishq ne diya sukoon itna,
Ki tere baad koi achha na lage,
Tujhe karni hai bewafai to is ada se kar,
Ki tere baad koi bewafa na lage.
Woh karte hai mohabbat ki baat,
Lekin mohabbat ke dard ka unhe ehsaas nahi,
Mohabbat to woh chaand hai jo dikhta to hai sabko,
Lekin usko paana sabke bas ki baat nahi.
Bewaf Ke Liye Shayari lines Text
Sach kaho to unhe khwaab lagta hai,
Aur shikva karo to unhe mazaak lagta hai.
Hum kitni shiddat se unhe yaad karte hai,
Aur ek woh hai jinhin ye sab ittefaq lagta hai.
Hum duayein karenge unpar aitbaar rakhna,
Na koi humse kabhi sawaal rakhna.
Agar dil mein chahat ho hume khush dekhne ki,
Bas hamesha muskurana aur apna khayal rakhna.
Mohabbat bhi badi ajeeb cheez hai,
Kahi koi apne pyar se bahut khush hai.
To kahi koi apne pyar ko kosta hai,
Vishwas karo yaaro pyar badi dilchasp cheez hai.
Manzil bhi uski thi, rasta bhi uska tha,
Ek main hi akela tha, baaki saara kaafila bhi uska tha.
Ek saath chalne ki soch bhi uski thi,
Aur baad mein rasta badalne ka faisla bhi usi ka tha.
In aankhon mein kabhi hamare aansu aaye na hote,
Agar woh peeche mud kar muskuraye na hote.
Unke jaane ke baad yehi gham rahega,
Ke kaash woh hamari zindagi mein aaye na hote.
Pattharon se pyar kiya kyunki naadaan the hum,
Galti hui kyunki insaan the hum.
Aaj jinhe humse nazre milane mein takleef hoti hai,
Kal usi insaan ki jaan the hum.
Kabhi rooth na jana mujhe manaana nahi aata,
Kabhi door na jana mujhe paas bulaana nahi aata.
Agar tum bhool jao to wo tumhari marzi,
Hume to bhool jana bhi nahi aata.
Na seerat nazar aati hai,
Na surat nazar aati hai,
Yahan har insaan ko bas,
Apni zarurat nazar aati hai.
Woh baat kya kare jiski koi khabar na ho,
Woh dua kya kare jiska koi asar na ho.
Kaise keh de ki lag jaaye hamari umar aapko,
Kya pata agle pal hamari umar na ho.
Top Bewafa Shayari English Mein
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha,
Meri zindagi se wo is tarah khelta raha,
Na utara kabhi meri zindagi ki jheel mein,
Bas kinare par baitha patthar phenkta raha.
Kabhi apnon ko bhulana na aaya;
Kisi ke dil ko dukhana na aaya;
Dusro ki yaad mein tadpana to sikh liya;
Apni yaadon mein kisi ko tadfana na aaya.
Kitna dard hai is dil mein lekin hume ehsaas nahi hai,
Koi tha bahut khaas par wo paas nahi hai,
Hume unke ishq ne barbaad kar diya,
Aur wo kehte hai ki ye koi pyar nahi hai.
Jab koi khyaal is dil se takrata hai,
To dil na chahte hue bhi khamosh ho jaata hai,
Koi sab kuch keh kar bhi kuch nahi keh pata hai,
Aur koi bina kuch keh bhi sab kuch keh jaata hai.
Udaas hoon, par aapse naraz nahi;
Aapke dil mein hoon, par aapke paas nahi;
Jhooth kahoon to sab kuch mere paas hai,
Aur sach kahoon, to aapki yaadon ke
Siwa kuch bhi nahi.
Tu yaad aata hai bahut isliye teri yaad mein kho lete hai,
Teri yaad jab aati hai to aansuo se ro lete hai,
Neend to ab hume aati nahi,
Tu hamare sapno mein aayega ye soch kar so lete hai.
Sach kaho to unhe khwaab lagta hai,
Aur shikva karo to unhe mazaak lagta hai,
Hum kitni shiddat se unhe yaad karte hai,
Aur ek woh hain jinhin ye sab ittefaq lagta hai.
Din hua hai, to raat bhi hogi,
Mat ho udaas, usse kabhi baat bhi hogi.
Woh pyar hai hi itna pyara,
Zindagi rahi to mulaqat bhi hogi.
Bewafa Girlfriend Ke Liye Shayari
Tu dil ke kareeb hoke bhi door hai,
Dil teri hi wajah se itna majboor hai.
Tere bina mera bahut bura haal hai,
Ye dil ab patthar ki tarah choor choor hai.
Mana ki tu nahi hai mere saamne
Par tu mere dil mein basta hai.
Mere har dukh mein mere saath hota hai,
Aur har sukh mein mere saath hasta hai.
Chhodne se pehle kehte to aap,
Darde dil ek baar hume sunate to aap.
Aisi kya majboori thi aapki,
Jo hume zindagi ke safar mein chhod gaye aap.
Mujhe dil se yun pukara na karo,
Yun aankhon se hume ishara na karo.
Door hoon tujhse majboori hai meri,
Yun tanhaiyon mein mujhe tadpaya na karo.
Humne khoya itna kuch ki paana na aaya,
Pyar kar to liya humne par jatana na aaya.
Aa gaye the tum is dil mein pehli nazar mein hi,
Bas hume hi aapke dil mein samaana na aaya.
Tu kya jaane ki kya hai tanhai,
Toote har patte se poochho ki kya hai judai.
Humko tu kabhi bewafai ka ilzaam na dena,
Tu us waqt se poochh ki mujhe teri yaad kab nahi aayi.
Bech safar mein tum humse alvida keh gaye,
Pehle apna banaya phir paraaya kar gaye.
Jab zindagi ki zarurat si ban gaye,
Tabhi wo humse kinara kar gaye.
Yaad ban kar mujhe satao na tum is tarah,
Apni bewafai ko mere dil pe rakh ke mat bhulo.
Humne to apni mohabbat tumhare naam ki,
Bas yeh dua hai khuda se ke bewafa na ho.
Conclusion
Life often leaves us with unspoken emotions, and bewafa Shayari in English helps give them a voice. These heartfelt lines remind us that pain and betrayal are part of love, yet they also teach us strength. Whether you share or keep them close, bewafa Shayari in English makes your feelings meaningful. Let these words heal, connect, and leave a lasting mark on hearts that understand your story.